Saturday 12 June 2010

Infosys Mysore...

Yaad aata hai woh Mysore ka zamana,
Tha jo saath doston ka isiliye lagta sab kuch suhana..
Chalo kuch lamhein guzaarte hain saath,
Karte hain us zamaane ko yaad…

Shuru hue the din jo Orientation class se,
Ache lagne lage the din sab jo saath the…
Utar gayi sab ki hawa jab shuru hua exams ka daur,
Magar usme tha maza bohat pur zor…

Raaton ke 12 baje GEC1 ke seedhiyaan utarna,
Hostel tak ka rasta bak bak karte tay karna,
Phir subah uth kar apni lady-bird ko dhundna,
Mil jaane par khush hona warna phir daud lagaaana!

Kya rehte the woh subah ke sessions,
Tha toh asal woh Lipton-Nescafe ka season,
Dopahar mein oongte hue hands on karna,
Aur woh last attendance ka be-sabri se intezaar karna...

Karte hain ab module exams ki baat,
Jis se ek din pehle hoti thi jagne ki raat,
Jaan adhar hoti thi karte waqt paper submit,
Ban jaata tha din agar hojaaye A-grade hit…

Kaise bhool jaaoun, I need to mention,
Bohat hoti thi compre ki tension,
Par kisi bhi haal kar gaye use paar,
Ab hone lagi thi streams mein maraa-maar..

Jab aaye streams ke samaachaar,
Bat gaye .Net, Java, MF mein doston ke vichaar,
Classes hue alag, dost the door,
Par phir bhi milte the lunch-dinner pe zaroor..

Aur kaise bhoolein woh DJ nites aur fashion shows,
Jiske aane pe hota tha hafton pehle se shor,
Yaad hain mujhe woh sunsaan amphitheatre mein doston ke saath gaana,
Aur kabhi “Khaja mere Khaja” gaane pe do-teen thumke lagaana.. :P

Yeh thi kuch khaas yaadein,
Karte hain ab roz-marra ki baatein,
Khane se badke kuch nahi tha hamara talking point,
Har khaane mein nikaal lete the kuch toh kuch point..

Bohat pasand thi hamein FC1 ki biryaani,
Kaise bhool sakte hain saath hi Pathankot ki biryaani,
Woh meals, woh Delhi darbaar, woh can-o-la ka glass,
Mujhe toh bohat pasand tha FC6 ki lassi ka glass... :)

Aur pichle saal ka Ramzan tha sab se alag,
Phirte te iftar ke waqt dar-badar so woh alag..
Kya hi maze the FC3 ki sehri wali poori mein,
Aur phir saf bandh khade ho fajr ki namaz padhne mein..
Iftar ke waqt tak sabka haal hojaata tha behaal,
Par kya karein dinner kar humein padhai karni padti thi kisi haal... :(
Jab aayi thi Eid Mubarak ki baari,
Acha nahi laga jab ghar na pohanch sak apni paltan saari..
Eid bhi thi sooni sooni doston ke bina,
Magar kya karein hamein bhi toh tha sheer-khurma peena.. :P

Yeh thi AZIZ ki yaari mysore aur doston ke saath,
Pasand agar aaye toh dad dete jaana haatho-haath…. :D